Saturday, March 2, 2013

Dhire Dhire sab kuchh pichhe chhut raha hai...


Dhire Dhire sab kuchh  pichhe chhut raha hai...
jaise koi purana aashiyaan phir se banane ko tut raha hai...
ghar wale to paas hi hain lekin...
mera wo ghar mujhse chhut raha hai...

Zindagi jiya karte the Yaaron k saye m jaha...
pahle us college se rukhsat hue...
aur ab ye mera gaon bhi mujh se chhut raha hai...
ghar wale to paas hi hain lekin...
mera wo ghar mujhse chhut raha hai...

Ab na roj roj milenge ye pahad aur yaha ka mausam...
ye 'Gad-Gadhere' aur ye hare bhare pedo k upwan...
Ye sab bhi ab mujhse ruth raha hai....
ghar wale to paas hi hain lekin...
mera wo ghar mujhse chhut raha hai...

Zindagi to sirf aage badna sikhati hai...
hum bhi Zindagi k sath bhag rahe hain...
par is dil ko samjhana thoda mushkil hai...
pagal hai gadha phir se wahi sab dhundh raha hai...
ghar wale to paas hi hain lekin...
mera wo ghar mujhse chhut raha hai...

Dhire Dhire sab kuchh pichhe chhut raha hai...
jaise koi purana aashiyaan phir se banane ko tut raha hai...